Recent News
Tehseeni foundation launched islamic book Asbaq-e-ibrat.
Aug 20, 2013
Tehseeni Foundation Publish Quarterly Islamic Magazine "Taiba".
Aug 21, 2013
Islamic SMS
-
Behtar Ye Hai K Gosht Ke 3 Hisse Karen Ek Hissa Apne Liye, Ek Hissa Apne Doston & Rishtedaron K Liye Aur Ek Hissa Gharibon K Liye (Alamgiri)
-
Mas’ala: Doosre Se Zabah Karwaya Aur Khud Apna Hath Bhi Churi Par Rakh Diya To Dono Par Bismillah Kehna Wajib Hai. (Durre Mukhtar)
-
Mas’ala: Qurbani Ki Aur Uske Pet Me Se Mara Hua Bachcha Nikla To Use Phenk Den K Wo Murdaar Hai. (B.Shariat)
-
Mas’ala: Qurbani Ki Aur Uske Pet Me Se Zinda Bachcha Nikla To Use Bhi Zabah Karden Aur Us Bachche Ka Gosht Khaya Ja Sakta Hai. (B.Shariat)
-
Mas’ala: Behtar Ye Hai Ke Apne Hath Se Qurbani Kare Jabki Achchi Tarah Zabah Karna Jaanta Ho. (Alamgiri)
-
Jiske Paidaishi Seeng Na Hon Uski Qurbani Jayez Hai Aur Agar Seeng The Magar Jadh Samet Toot Gaye Hon To Uski Qurbani Nahi Hogi. (Alamgiri)
-
Qurbani Ka Janwar BeAib Hona Zaroori Hai,Agar Thoda Aib Ho To Qurbani Ho Jayegi Magar Makruh Hogi Aur Agar Ziyada Aib Ho To Nahi Hogi (B.S.)
-
Qurbaani K Janwar Ki Umr: Uoont 5 Saal, Bhains 2 Saal, Bakra Bakri 1 Saal. Isse Kam Umr Ho To Qurbani Jayez Nahi. (Durre Mukhtar)
-
Agar Kisi Ne Zilhijja K Chand Se Qurbani Karne Tak Baal Ya Nakhun Kaat Liye To Gunah Nhi Aur Qurbani Me B Koi Farq Nahi Parhega (KutubeFiqh)
-
Qurbani Ka Fayda: Qurbani Apne Karne Wale Ke Nekiyon Ke Palle Me Rakhi Jaayegi Jisse Nekiyon Ka Palla Bhari Hoga. (Ash’atul Lam’aat)
-
Mas’ala: Jo Qurbani Ka Irada Karen Uske Lye Mustahab Hai K Zilhijja Ka Chand Dekhne Se Qurbani Tak Baal Aur Nakhun Na Kaate. (B.Shariat)
-
Farmaan-e-Nabwi: Qurbani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Pehle ALLAH Ke Yahan Qubool Ho Jata Hai, Lihaza Khushdili Se Qurbani Karo (Tirmizi)
-
Mas’ala: Agar Kisi Par Qurbani Wajib Hai Aur IsWaqt Uske Pas Rupye Nahi Hain To Qarz Lekar Ya Koi Chiz Bechkar Qurbani Kare (FatawaeAmjadia)
-
Hadees: Jis Shakhs Me Qurbani Ki Wus’at (Taqat) Ho Phir Bhi Wo Qurbani Na Kare To Wo Hamari Eidgaah K Qareeb Na Aaye. (Ibne Maja,Hadees3123)
-
Hadees: Jisne Khushdili Se Sawab Talab Karne Ki Niyat Se Qurbani Ki To Wo(Qurbani) Dozakh Ki Aag Se Hijaab(Rok) Ho Jayegi. (AlmojamulKabeer)
-
Hadees: Qurbaani K Har Baal Ke Badle Me Ek Neki Milti Hai. (Tirmizi, Hadees No. 1498)
-
Mas’ala: Har Baligh Muqeem Mailke Nisaab Musalman Mard Aur Aurat Par Qurbaani Wajib Hai. (Alamgiri)
-
QUR'AAN: Daro Us Din Se Jis Me ALLAH Ta'ala Ki Taraf Lautaaye Jaoge Aur Har Jaan Ko Uski Kamaayi Poori Di Jayegi. (S.Baqrah, A.281) #Quran
-
HADEES: Hazrat Abu Bakr Huzoor K Pas Aye To Huzoor Ne Farmaya Tum ALLAH Ki Janib Se Jahannam Se Azaad Kiye Huye Ho. (Mishkat Shareef)
-
HADEES: Kisi Ne Apne Hatho(Hands) Ki Kamayi(Earning) Se Behtar Khana Kabhi Nahi Khaya. 📗Bukhari Shareef. http://www.tehseenifoundation.com
-
Kiya Apko Maloom Hai? Quran Shareef Me Total 114 Soorate Hain, Is me 83 Makki Aur 31 Madni Hain. (Islamic Knowledge, Page 60) #Tehseeni
-
Wuzu Me 4 Farz Hain. 1-Chehra (Face) Dhona 2-Kohniyon samet dono hath dhona 3-Chauthayi sar ka masah karna 4-Dono pair takhno samet dhona (Islamic Knowledge)
-
Quran: Agar Tum Par ALLAH Ka Fazl(Quran/Rasool) Aur Uski Rehmat (Rasool) Na Hoti To Zaroor Tum Shaitan Ke Peeche Lag Jate. (S.Nisa,Ayat 83)
-
Qur'aan: Jo Rasool Tumhen Den Wo Lo Aur Jisse Roken Usse Baaz(Ruke) Raho. (Para 28, S.Hashr, Ayat 8) #Tehseeni_Foundation_Bareilly #Quran
-
Anmol Moti: Afsos Hai Us Shakhs Par Jo Chand Din Ki Dunyawi Zindgi K Dhoke Me Padkar Maut Ki Sakhtiyon,Qabr Ki Tarikyon Ko Bhul Jaye. (Asbaqe Ibrat)
-
Qur'an: Aey Imaan Walo! ALLAH Ki Taraf Aisi Tauba Karo Jo Aage Ko Naseehat Ho Jaye. (Para 28, S.Tehrim, A. 8) #Quraan #TehseeniFoundation
-
Qur'aan: Aey Imaan Walo ALLAH Se Daro Aur Har Jaan Ye Dekhe K Kal(Akhirta) Ke Liye Kiya Aage Bheja. (P.28, S.Hashr,A.18) #AsbaqeIbrat #Ilm
-
Hadees: 3 Duaayen Bila Shak o Shubah Maqbool Hain Mazloom Ki Dua, Musafir Ki Dua Aur Walid Ki Apni Aulaad k Liye Ki Gayi Bad-Dua. (Tirimizi)
-
Hadees: Behtreen Zikr “LAA ILAAHA ILLALLAH” Aur Behtreen Dua “ALHAMDULILLAH” Hai. (Tirmizi)
-
Hadees: Apni Kamaayi (Earning) Paak Rakho Tumhari Dua Qubool Hogi. (MajmauzZawaid)
-
Hadees: ALLAH Ta’ala Se Uska Fazl Maango, Beshak ALLAH Ta’ala Ko Pasand Hai K Usse Maanga Jaye. (Tirmizi)
-
Hadees: Ba-Jama’at Namaz Ada Karna Tanha (Akele) Namaz Ada Karne Par 27 Darje Fazeelat Rakhta Hai. (Bukhari)
-
Hadees: Mujh Par Durood Parha Karo Beshak Mujh Par Durood Parhna Tumhare Liye Pakeezgi Ka Baais(Yani Pakeezgi ka Zariya) Hai.(IbneAbiShaiba)
-
Hadees: Bande Ka Roza Aasman wa Zameen K Darmiyan Mu’allaq(Latka) Rehta Hai Jab Tak ki Wo Sadqa-e-Fitr Ada Na Kare. (Ibne Asakir)
-
Hadees:Jannat Me Ek Darwaza Hai Jiska Naam Rayyan Hai,Qiyamt K Dine Usme RozeDar Dakhil Honge,Unke Alawa Koi Usme Dakhil Nahi Hoga.(Bukhari)
-
HADEES: HAR CHEEZ K LIYE ZAKAAT HAI AUR BADAN KI ZAKAAT ROZA RAKHNA HAI. (IBNE MAJAH)
-
Qur’aan: Jo B Burayi Karega Uska Phal Payega Aur ALLAH K Muqable Me Apne Liye Koi Haami Aur Madadgar Na Pa Sakega. (S. Nisa)
-
Hadees: Zindon Ka Hadya Murdon K Liye Istighfar (Bakhshish Talab Karna) Hai. (Behaqi)
-
Hadees: Jisne Apne Walidain Ki Wafat K Baad Unki Taraf Se Haj Kiya To ALLAH Ta’ala Use Jahannam Ki Aag Se Azad Kar Dega. (Behaqi)
-
ANMOL MOTI:Dil Jab Shehwat Me Mubtala Hokar Beemar Hota Hai To Waz o Nasihat Aur Smajhane Bujhane Ka Asar Khatm Ho Jata Hai.(Kitabul Fawaid)
-
QURAAN: Jo Shakhs Zarra Barabar Neki Karega Wo Use(Qiyamat K Din) Dekhega Aur Jo Zarra Barabar Burayi Karega Use Dekhega.(Soora-e Zilzlal)
-
Hadees: Nafs K Sath Jihaad Behtreen Jihaad Hai. (Behaqi)
-
Qur’aan: Aur jo Apne Rab K Huzoor Khadhe Hone Se Dara Aur Nafs Ko Khwahish Se Roka To Beshak Jannat Hi Uska Thikana Hai. (P.30, Naziaat)
-
Hadees: Lazzato Ko Khatm kar Dene Wali Cheez (Yani Maut) Ko Kasrat_Se Yaad Kiya Karo. (Nisaai)
-
Qur’an: Neki Aur Parhezgari Par Ek Doosre Ki Madad Karo Aur Gunah Aur Ziyadti Par Ek Dusre Ki Madad Na Karo Aur ALLAH Se Daro. (S.Maaida)
-
Farmaan-e-Nabwi; Jannat Ko Takleefon Se Aur Dauzakh ko Shehwaton Aur Lazzaton Se Dhaanp (Chupa) Diya Gaya Hai. (Bukhari)
-
Farmaan-e-Nabwi: Mai Ne Dauzakh Ko Dekha To Usme Maaldaar Aur Auraton Ko Ziyada Dekha. (Musnad Ahmad Bin Hambal)
-
Farmaan-e-Nabwi: Jisne Dunya Se Muhabbat Ki Wo Aakhirat Me Nuqsan Uthayega. (Almustadrak Lilhakim, H.7967)
-
Hadees: Uska (Insan Ka) Haqeeqi Maal To Wo Hai Jo Usne Aage (Akhirat k lye) Bheja Aur Waris Ka Maal Wo Hai Jo Usne Peeche Chorha. (Bukhari)
-
Hadees: Jisne ALLAH Ki Kitaab Ka Ek Harf Parha To Uske Lye Uske Badle Ek Neki Hai (Tirmizi)
-
Quraan: Beshak Wahi Kaamyab Hua Jo (Nafs Ki Aafaton Aur Gunaah Ki Aaloodgiyon Se) Paak Ho Gaya. (Para 30, S. Aala)
-
Qur’aan: Tumhen Maal Ki Ziyaada Talbi Ne Ghafil Rakha Yahan Tak Ki Tum Ne Qabron Ka Munh Dekh Liya. (P.30, S.Takasur)
-
Hadees: Aadmi Jab Maa Baap k Liye Dua Chorh Deta Hai To Uska Rizq Qata Ho Jata Hai. (KanzulUmmal)
-
ANMOL MOTI: Dil Ka Ghaflat Aur Shehwat Se Bhara Hona Aur Dunyawi Khayalat Me Hi Dooba Rehna Shaqawat Aur Badbakhti ki Alamat Hai.>ImamGhazal
-
ANMOL MOTI: Nafs K Khilaf Jihaad Karo Aur Maut Ko Aur Maut Ko Apne Qareeb Jano Kiyonki Tumhari Maznil Qabr Hai. (Imam Ghazali)
-
Mas’ala: Mutabarrak (Barkat Wali) Raaton Me Qabron Ki Ziyarat Afzal Hai, Khusoosan Shabe Bara’at Ko. (Fatawa Aalamgeeri, J.5, S.350)
-
Hadees: Tamam Halal Cheezon Me ALLAH Ta’ala k Nazdeek Sabse Napasandeeda Cheez Talaq Hai, (Abu Dawood)
-
Hadees: Jo Aurat Baghair Kisi Maqool Uzr K Shauhar Se Talaq Maange Uspar Jannat Ki Khushboo Haram Hai. (Abu Dawood)
-
Hadees: Aurat “AURAT” Hai. (Yani Parde Me Rehne Ki Cheez Hai) Jab Wo Bahar Nikalti Hai To Shaitan Usko Ghoorta Hai. (Tirmizi)
-
HADEES: SABSE BURA QIYAMAT K DIN WO BANDA HAI JISNE DOOSRE KI DUNYA K BADLE ME APNI AAKHIRAT BARBAAD KARDI. (IBNE MAJA)
-
FARMAAN-E-NABWI: SHABAAN MERA MAHEENA HAI AUR RAMZAAN ALLAH KA MAHEENA HAI. (JAAMEUS SAGHEER)
-
Hadees: Qiyamat K Din Meri Ummat Is Halat Me Bulayi Jayegi k Munh, Haath, Pair Wuzoo Ki Waja Se Chamakte Honge. (Bukhari)
-
Qur’aan: Wo Jo Gunah Kamate Hain Anqareeb Apni Kamaayi Ki Saza Paayenge. (P.8, S. Inaam,A.12)
-
ANMOL MOTI: Nafsaani Khwahishat Ka Qila Qama Karne (Todhne) K Baad Hi Sa’aadat Aur Falaah (Kamyabi) Kisi Ka Muqaddar Banti Hai. (Ibne Joozi)
-
Qur’aan: Beshak AAKHIRAT Ka Ghar Zaroor Wahi Sachchi Zindgi Hai Kiya Achcha Tha Agar Jaante. (P 21,S.Ankaboot, A,64)
-
Qur’aan: Beshak Shitaan Tumhara Dushman Hai To Tum B Use Dushman Samjho. (Soora’e Faatir)
-
Hadees: Jisne ALLAH Ta’ala Ki Masjidon ko Raushan Kiya ALLAH Ta’ala Uski Qabr Ko Raushan Farmayega.(Sharhussudoor)
-
Hadees: Us Ghar Me Firishte Nahi Jaate Jisme Tasweer Ya Kutta Ya Junbi (Napaak) Ho. (Abu Daaod)
-
Hadees: Aqalmand Aur Samjhdar Woh Hai Jo Apne Nafs Ka Muhasaba Kare Aur Maut K Baad Wali Zindgi K Liye Amal Kare. (FathulBari)
